sone ka taj rakkhe hue sar mein kuchh na tha
sone kā taaj rakkhe hue sar meñ kuchh na thā
darvāza ‘ālīshān thā aur ghar meñ kuchh na thā
tum mil ga.e to koī shikāyat nahīñ rahī
tum se ziyāda mere muqaddar meñ kuchh na thā
lohe ko apnī pyaas bujhānī thī ḳhuun se
vo qatl ittifāq thā ḳhanjar meñ kuchh na thā
chiḌiyoñ kā ġhol aur kahāñ hāthiyoñ kī fauj
vo āsmānī qahr thā kankar meñ kuchh na thā
puujā kiye baġhair bhī sab kaam ho ga.e
sab kuchh mirā yaqīn thā patthar meñ kuchh na thā
sone ka taj rakkhe hue sar mein kuchh na tha
darwaza ‘alishan tha aur ghar mein kuchh na tha
tum mil gae to koi shikayat nahin rahi
tum se ziyaada mere muqaddar mein kuchh na tha
lohe ko apni pyas bujhani thi KHun se
wo qatl ittifaq tha KHanjar mein kuchh na tha
chiDiyon ka ghol aur kahan hathiyon ki fauj
wo aasmani qahr tha kankar mein kuchh na tha
puja kiye baghair bhi sab kaam ho gae
sab kuchh mera yaqin tha patthar mein kuchh na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.