sone walon ko koi KHwab dikhane se raha
sone vāloñ ko koī ḳhvāb dikhāne se rahā
maiñ tah-e-ḳhāk to ab ḳhaak uḌāne se rahā
koī darvāza na haa.il koī dahlīz rahī
ishq sahrā meñ rahā aur Thikāne se rahā
Duub jaa.eñ to kināre pe pahuñch sakte haiñ
ab samundar to hameñ paar lagāne se rahā
un diyoñ hī se kisī taur guzārā kar lo
ab maiñ kamre meñ sitāroñ ko to laane se rahā
apne hāthoñ hī shikār apnā maiñ kar luuñ na 'munīr'
aur kuchh der agar duur nishāne se rahā
sone walon ko koi KHwab dikhane se raha
main tah-e-KHak to ab KHak uDane se raha
koi darwaza na hail koi dahliz rahi
ishq sahra mein raha aur Thikane se raha
Dub jaen to kinare pe pahunch sakte hain
ab samundar to hamein par lagane se raha
un diyon hi se kisi taur guzara kar lo
ab main kamre mein sitaron ko to lane se raha
apne hathon hi shikar apna main kar lun na 'munir'
aur kuchh der agar dur nishane se raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.