soz-e-darun ko aankh se bahar nikal kar
soz-e-darūñ ko aañkh se bāhar nikāl kar
har shāḳh rakh rahī hai gul-e-tar nikāl kar
laa.e husain āḳhirī lashkar nikāl kar
ḳheme se tishna-lab alī asġhar nikāl kar
thoḌe hī din hai shāḳh-e-shajar par ye naġhmagī
uḌ jā.eñge ye log na.e par nikāl kar
ahl-e-nazar ke sāmne rakhtā huuñ dekh leñ
laayā huuñ musht-e-ḳhāk se gauhar nikāl kar
yuuñ bhī ho mujh ko chashm-e-fanā DhūñDhtī phire
rakh duuñ maiñ rūh-e-jism se bāhar nikāl kar
is dāstāñ meñ aur to kuchh bhī nayā nahīñ
us ke bichhaḌte vaqt kā manzar nikāl kar
kartā huuñ sajda aap maiñ apne jamāl ko
patthar se ik ḳhayāl kā paikar nikāl kar
ab shā.irī meñ aur kisī ko bhī deñ jagah
majzūb-o-mast-o-faqr-o-qalandar nikāl kar
shahroñ kī būd-o-bāsh ne vahshī kiyā use
phirtā hai qais haath meñ ḳhanjar nikāl kar
soz-e-darun ko aankh se bahar nikal kar
har shaKH rakh rahi hai gul-e-tar nikal kar
lae husain aaKHiri lashkar nikal kar
KHeme se tishna-lab ali asghar nikal kar
thoDe hi din hai shaKH-e-shajar par ye naghmagi
uD jaenge ye log nae par nikal kar
ahl-e-nazar ke samne rakhta hun dekh len
laya hun musht-e-KHak se gauhar nikal kar
yun bhi ho mujh ko chashm-e-fana DhunDhti phire
rakh dun main ruh-e-jism se bahar nikal kar
is dastan mein aur to kuchh bhi naya nahin
us ke bichhaDte waqt ka manzar nikal kar
karta hun sajda aap main apne jamal ko
patthar se ek KHayal ka paikar nikal kar
ab shairi mein aur kisi ko bhi den jagah
majzub-o-mast-o-faqr-o-qalandar nikal kar
shahron ki bud-o-bash ne wahshi kiya use
phirta hai qais hath mein KHanjar nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.