soz-e-darun se raaz-e-mohabbat ayan na ho
soz-e-darun se raaz-e-mohabbat ayan na ho
Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi
MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi
soz-e-darūñ se rāz-e-mohabbat ayaañ na ho
dil sham.a ban ke jal uThe lekin dhuāñ na ho
hāsil sukūn-e-dil na ho taskīn-e-jāñ na ho
jab tak ġham-e-hayāt ġham-e-jāvedāñ na ho
ye kyā kahā ki ātish-e-gul kā dhuāñ na ho
barq-e-tapāñ se pūchh mirā āshiyāñ na ho
duniyā kī mahfiloñ meñ ho zikr-e-ajal zarūr
afsāna-e-hayāt kisī kā bayāñ na ho
karte haiñ kyoñ salām ye dair-o-haram mujhe
merī jabīñ meñ jazb tirā āstāñ na ho
ye ishtihār kar diye chaspāñ qadam qadam
manzil kī samt koī ravāñ kārvāñ na ho
maiñ phir gayā huuñ apne hī dil se ḳhudā kare
merī tarah jahāñ meñ koī bad-gumāñ na ho
achchhā yahī batā mujhe ai fitrat-e-chaman
kāñToñ ke paas phuul kahāñ ho kahāñ na ho
rotī hai ro.e jaltī hai shab bhar jalā kare
lekin zabān-e-sham.a mirī ham-zabāñ na ho
le chal vahāñ jahāñ mujhe ai be-ḳhudī-e-shauq
is ālam-e-vajūd kā vahm-o-gumāñ na ho
rang-e-bahār bazm-e-suḳhan par nisār hai
dekho kahīñ vo 'ahsan'-e-rangīñ-bayāñ na ho
soz-e-darun se raaz-e-mohabbat ayan na ho
dil shama ban ke jal uThe lekin dhuan na ho
hasil sukun-e-dil na ho taskin-e-jaan na ho
jab tak gham-e-hayat gham-e-jawedan na ho
ye kya kaha ki aatish-e-gul ka dhuan na ho
barq-e-tapan se puchh mera aashiyan na ho
duniya ki mahfilon mein ho zikr-e-ajal zarur
afsana-e-hayat kisi ka bayan na ho
karte hain kyon salam ye dair-o-haram mujhe
meri jabin mein jazb tera aastan na ho
ye ishtihaar kar diye chaspan qadam qadam
manzil ki samt koi rawan karwan na ho
main phir gaya hun apne hi dil se KHuda kare
meri tarah jahan mein koi bad-guman na ho
achchha yahi bata mujhe ai fitrat-e-chaman
kanTon ke pas phul kahan ho kahan na ho
roti hai roe jalti hai shab bhar jala kare
lekin zaban-e-shama meri ham-zaban na ho
le chal wahan jahan mujhe ai be-KHudi-e-shauq
is aalam-e-wajud ka wahm-o-guman na ho
rang-e-bahaar bazm-e-suKHan par nisar hai
dekho kahin wo 'ahsan'-e-rangin-bayan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.