soz-e-dil baDhne na pae aankh tak ai zabt-e-gham
soz-e-dil baḌhne na paa.e aañkh tak ai zabt-e-ġham
aag bhaḌkā degā ye is ḳhāna-e-ḳhas-posh meñ
chupke chupke maiñ piye jaatā huuñ ulfat meñ sarishk
haiñ balā kī garmiyāñ is ātish-e-ḳhāmosh meñ
ranj-o-rāhat ek se haiñ mujh ko misl-e-ḳhār-o-gul
mādar-e-gītī ne paalā un ko ik āġhosh meñ
āqibat-bar-pusht ye hai āqibat-bardosh vo
farq ye hai ek mun.im ek ḳhirqa-posh meñ
saḳhtiyoñ meñ parvarish paate haiñ ahl-e-rang-o-bū
gul palā karte haiñ aksar ḳhaar kī āġhosh meñ
ai karīm 'aiman' ke isyāñ aaj kar is ke sipurd
terā dariyā-e-karam lahrā rahā hai josh meñ
soz-e-dil baDhne na pae aankh tak ai zabt-e-gham
aag bhaDka dega ye is KHana-e-KHas-posh mein
chupke chupke main piye jata hun ulfat mein sarishk
hain bala ki garmiyan is aatish-e-KHamosh mein
ranj-o-rahat ek se hain mujh ko misl-e-KHar-o-gul
madar-e-giti ne pala un ko ek aaghosh mein
aaqibat-bar-pusht ye hai aaqibat-bardosh wo
farq ye hai ek munim ek KHirqa-posh mein
saKHtiyon mein parwarish pate hain ahl-e-rang-o-bu
gul pala karte hain aksar KHar ki aaghosh mein
ai karim 'aiman' ke isyan aaj kar is ke sipurd
tera dariya-e-karam lahra raha hai josh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.