soz-e-firaq ne hai lagai badan mein aag
soz-e-firāq ne hai lagā.ī badan meñ aag
mujh ko yaqīn hai ki lage pairahan meñ aag
har shāḳh meñ hai jalva-e-shāḳh-e-nihāl-e-tūr
bhaḌkā.ī hai ye ātish-e-gul ne chaman meñ aag
hangām-e-zarb-e-tesha se jis kā zuhūr thā
shīrīn ke ġham kī thī vo dil-e-kohkan meñ aag
ham se ho zabt āh-e-sharar-bār kis tarah
us ne to phūñk dī jigar-o-jān-o-tan meñ aag
us sho.ala-rū ke āriz-e-rañgīñ ke aks ne
chamkā.ī goshvāra-e-durr-e-adan meñ aag
us rashk-e-mehr ke lab-e-rangīñ ko dekh kar
ġhairat se lag uThī dil-e-la.al-e-yaman meñ aag
'be-gun'' hamāre nāla-e-sozāñ se dekhnā
ik din lagegī saqf-e-sipahr-e-kuhan meñ aag
soz-e-firaq ne hai lagai badan mein aag
mujh ko yaqin hai ki lage pairahan mein aag
har shaKH mein hai jalwa-e-shaKH-e-nihaal-e-tur
bhaDkai hai ye aatish-e-gul ne chaman mein aag
hangam-e-zarb-e-tesha se jis ka zuhur tha
shirin ke gham ki thi wo dil-e-kohkan mein aag
hum se ho zabt aah-e-sharar-bar kis tarah
us ne to phunk di jigar-o-jaan-o-tan mein aag
us shoala-ru ke aariz-e-rangin ke aks ne
chamkai goshwara-e-durr-e-adan mein aag
us rashk-e-mehr ke lab-e-rangin ko dekh kar
ghairat se lag uThi dil-e-lal-e-yaman mein aag
'be-gun hamare nala-e-sozan se dekhna
ek din lagegi saqf-e-sipahr-e-kuhan mein aag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.