soz-e-gham ahl-e-mohabbat ko KHuda baKHshe hai
soz-e-ġham ahl-e-mohabbat ko ḳhudā baḳhshe hai
ye vo marham hai jo zaḳhmoñ ko shifā baḳhshe hai
zulf apnī ruḳh-e-raushan pe sajī rahne do
mere ā.īna-e-dil ko ye jilā baḳhshe hai
bazm-e-hastī meñ jo aaya hai vo jā.egā zarūr
kaun jiitā hai sadā kis ko qazā baḳhshe hai
us ke qabze meñ to ġham aur ḳhushī donoñ haiñ
ab ye hai maslahat-e-yār vo kyā baḳhshe hai
zindagī kī rah-e-pur-ḳhār meñ tum saath raho
sham.a āñkhoñ ko añdhere meñ ziyā baḳhshe hai
jam.a hai bhiiḌ ḳhatā-varoñ kī us ke dar par
dekhnā ye hai ki vo kis kī ḳhatā baḳhshe hai
kaun duniyā meñ pareshān nahīñ hai 'shādāñ'
kis ko tapte hue sahrā kī havā baḳhshe hai
soz-e-gham ahl-e-mohabbat ko KHuda baKHshe hai
ye wo marham hai jo zaKHmon ko shifa baKHshe hai
zulf apni ruKH-e-raushan pe saji rahne do
mere aaina-e-dil ko ye jila baKHshe hai
bazm-e-hasti mein jo aaya hai wo jaega zarur
kaun jita hai sada kis ko qaza baKHshe hai
us ke qabze mein to gham aur KHushi donon hain
ab ye hai maslahat-e-yar wo kya baKHshe hai
zindagi ki rah-e-pur-KHar mein tum sath raho
shama aankhon ko andhere mein ziya baKHshe hai
jama hai bhiD KHata-waron ki us ke dar par
dekhna ye hai ki wo kis ki KHata baKHshe hai
kaun duniya mein pareshan nahin hai 'shadan'
kis ko tapte hue sahra ki hawa baKHshe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.