soz-e-gham jab bhi had se siwa ho gaya
soz-e-ġham jab bhī had se sivā ho gayā
dil kā har zaḳhm sho.ala-navā ho gayā
aks merā na aaya nazar tujh meñ jab
zindagī maiñ tirā aa.ina ho gayā
dasht-e-iḳhlās meñ ab pukāreñ kise
apnā saaya hī jab ḳhud judā ho gayā
maiñ chalā thā zarā ḳhud ko pahchānñe
daf.atan vaqt kā sāmnā ho gayā
aa.ina TuuT kar bhī khaTaktā rahā
dil jo TuuTā to phir be-sadā ho gayā
soz-e-gham jab bhi had se siwa ho gaya
dil ka har zaKHm shoala-nawa ho gaya
aks mera na aaya nazar tujh mein jab
zindagi main tera aaina ho gaya
dasht-e-iKHlas mein ab pukaren kise
apna saya hi jab KHud juda ho gaya
main chala tha zara KHud ko pahchanne
dafatan waqt ka samna ho gaya
aaina TuT kar bhi khaTakta raha
dil jo TuTa to phir be-sada ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.