soz-e-gham ranj-o-alam had se siwa dete hain
soz-e-ġham ranj-o-alam had se sivā dete haiñ
vo bhī kyā ḳhuub mohabbat kā sila dete haiñ
ishq kī raah meñ marte nahīñ marne vaale
ishq ko zinda-e-jāved banā dete haiñ
kis tarah jaan se jaate haiñ marīzān-e-alam
aa.iye aaj ye manzar bhī dikhā dete haiñ
kyā guzartī hai kisī par unheñ ye kyā ma.alūm
vo to parda ruḳh-e-raushan se uThā dete haiñ
tum 'ziyā' kis ko sunāte ho fasāna dil kā
vo to har baat kā afsāna banā dete haiñ
soz-e-gham ranj-o-alam had se siwa dete hain
wo bhi kya KHub mohabbat ka sila dete hain
ishq ki rah mein marte nahin marne wale
ishq ko zinda-e-jawed bana dete hain
kis tarah jaan se jate hain marizan-e-alam
aaiye aaj ye manzar bhi dikha dete hain
kya guzarti hai kisi par unhen ye kya malum
wo to parda ruKH-e-raushan se uTha dete hain
tum 'ziya' kis ko sunate ho fasana dil ka
wo to har baat ka afsana bana dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.