soz-e-gham se jal raha hun dekhta koi nahin
soz-e-ġham se jal rahā huuñ dekhtā koī nahīñ
kyā butoñ kā shahr hai ġham-āshnā koī nahīñ
kis ke aage sar jhukā.ūñ devtā koī nahīñ
pattharoñ ke shahr meñ merā ḳhudā koī nahīñ
zulm-o-istibdād kā ik silsila hai us ke saath
ye samajhtā hai vo shāyad ki ḳhudā koī nahīñ
tere dar se uTh ke jaa.eñ to kidhar jaa.eñ batā
jis taraf bhī dekhte haiñ rāsta koī nahīñ
dūriyāñ hotīñ diloñ meñ to miTā lete unheñ
kis liye baḌh kar mileñ ki fāsla koī nahīñ
husn hai maġhrūr par apnī anā ko kyā huā
kis ko itnā vaqt hai ye sochtā koī nahīñ
zaḳhm-hā-e-dil dikhā kar kyā milā 'naġhmī' use
jis nazar meñ qīmat-e-jins-e-vafā koī nahīñ
soz-e-gham se jal raha hun dekhta koi nahin
kya buton ka shahr hai gham-ashna koi nahin
kis ke aage sar jhukaun dewta koi nahin
pattharon ke shahr mein mera KHuda koi nahin
zulm-o-istibdad ka ek silsila hai us ke sath
ye samajhta hai wo shayad ki KHuda koi nahin
tere dar se uTh ke jaen to kidhar jaen bata
jis taraf bhi dekhte hain rasta koi nahin
duriyan hotin dilon mein to miTa lete unhen
kis liye baDh kar milen ki fasla koi nahin
husn hai maghrur par apni ana ko kya hua
kis ko itna waqt hai ye sochta koi nahin
zaKHm-ha-e-dil dikha kar kya mila 'naghmi' use
jis nazar mein qimat-e-jins-e-wafa koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.