soz-e-jigar ka haal kisi par ayan na ho
soz-e-jigar kā haal kisī par ayaañ na ho
jaltā rahūñ us aag meñ lekin dhuāñ na ho
patthar vo dil hai jo na ho terā asīr-e-zulf
vo aañkh kyā jo tere liye ḳhūñ-chakāñ na ho
auroñ kī tarah jalva-e-dīdār ke liye
yā-rab mujhe quyūd-e-zamān-o-makāñ na ho
merī zabān-e-hāl mirā tarjumāñ bane
ḳhuddāriyoñ pe minnat-e-nutq-o-bayāñ na ho
aane ko lab pe shikva-e-jaur-o-jafā ho jab
us din ḳhudā kare mire muñh meñ zabāñ na ho
vaa.iz rahīn-e-ka.aba barahman hai vaqf-e-dair
tum jalva-gar batāo kahāñ ho kahāñ na ho
kyā shustagī ho us ke mazāmīn meñ 'jalāl'
jis ko nasīb sohbat-e-ahl-e-zabāñ na ho
soz-e-jigar ka haal kisi par ayan na ho
jalta rahun us aag mein lekin dhuan na ho
patthar wo dil hai jo na ho tera asir-e-zulf
wo aankh kya jo tere liye KHun-chakan na ho
auron ki tarah jalwa-e-didar ke liye
ya-rab mujhe quyud-e-zaman-o-makan na ho
meri zaban-e-haal mera tarjuman bane
KHuddariyon pe minnat-e-nutq-o-bayan na ho
aane ko lab pe shikwa-e-jaur-o-jafa ho jab
us din KHuda kare mere munh mein zaban na ho
waiz rahin-e-kaba barahman hai waqf-e-dair
tum jalwa-gar batao kahan ho kahan na ho
kya shustagi ho us ke mazamin mein 'jalal'
jis ko nasib sohbat-e-ahl-e-zaban na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.