soz-e-junun ne waqt se Darne nahin diya
soz-e-junūñ ne vaqt se Darne nahīñ diyā
āsān rāstoñ se guzarne nahīñ diyā
sāhil pe jā utarnā to lamhoñ kī baat thī
ek be-dilī thī jis ne ubharne nahīñ diyā
gherā kuchh is tarah se ġham-e-rozgār ne
ḳhud apne aap meñ bhī utarne nahīñ diyā
ūñchī haveliyoñ ne bhī kyā zulm Dhaa.e haiñ
sūraj bhī āñganoñ meñ utarne nahīñ diyā
ek soz-e-andarūñ ne har ik moḌ par 'jamīl'
sachchā.iyoñ se ham ko mukarne nahīñ diyā
soz-e-junun ne waqt se Darne nahin diya
aasan raston se guzarne nahin diya
sahil pe ja utarna to lamhon ki baat thi
ek be-dili thi jis ne ubharne nahin diya
ghera kuchh is tarah se gham-e-rozgar ne
KHud apne aap mein bhi utarne nahin diya
unchi haweliyon ne bhi kya zulm Dhae hain
suraj bhi aanganon mein utarne nahin diya
ek soz-e-andarun ne har ek moD par 'jamil'
sachchaiyon se hum ko mukarne nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.