soz mein Dubi hui dard ki tafsir na dekh
soz meñ Duubī huī dard kī tafsīr na dekh
jehd-e-paiham ke alam-dār ye taqdīr na dekh
ḳhvāb bhī tū hī yahāñ ḳhvāb kī ta.abīr bhī tū
tū hī iksīr-e-sifat hai koī iksīr na dekh
hikmat-o-ilm-o-firāsat hī tirā virsa hai
nūr-e-īmān-talab ġharb kī tanvīr na dekh
kīmiyā-gar hai to kuchh gur bhī tirī gard meñ ho
sang DhūñDe ki na DhūñDe tujhe ai 'mīr' na dekh
jis ko kahte haiñ baqā us kā samajhnā hai muhāl
saare aurāq palaT ab koī tafsīr na dekh
zaḳhm ulfat meñ mile haiñ jo vo haiñ in.āmāt
tū mire dard ko is tarah se dil-gīr na dekh
jin se chuñdhiyā ga.iiñ duniyā kī nigāheñ aksar
sang-reze haiñ ye 'usmān' kī jāgīr na dekh
soz mein Dubi hui dard ki tafsir na dekh
jehd-e-paiham ke alam-dar ye taqdir na dekh
KHwab bhi tu hi yahan KHwab ki tabir bhi tu
tu hi iksir-e-sifat hai koi iksir na dekh
hikmat-o-ilm-o-firasat hi tera wirsa hai
nur-e-iman-talab gharb ki tanwir na dekh
kimiya-gar hai to kuchh gur bhi teri gard mein ho
sang DhunDe ki na DhunDe tujhe ai 'mir' na dekh
jis ko kahte hain baqa us ka samajhna hai muhaal
sare auraq palaT ab koi tafsir na dekh
zaKHm ulfat mein mile hain jo wo hain inamat
tu mere dard ko is tarah se dil-gir na dekh
jin se chundhiya gain duniya ki nigahen aksar
sang-reze hain ye 'usman' ki jagir na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.