sozish-e-abla-pai nahin sunne wala
sozish-e-ābla-pā.ī nahīñ sunñe vaalā
rāsta koī duhā.ī nahīñ sunñe vaalā
aisī āvāzoñ kī zad meñ hai samā.at us kī
vo sadā koī parā.ī nahīñ sunñe vaalā
bas yahī shai hai zamāne meñ mujhe sab se aziiz
maiñ mohabbat kī burā.ī nahīñ sunñe vaalā
vasl ko chhoḌ ke haiñ saarī dalīleñ bekār
hijr ab koī safā.ī nahīñ sunñe vaalā
guftugū kiije magar soch-samajh kar kiije
har koī harza-sarā.ī nahīñ sunñe vaalā
sab ke sab aadī hue zauq-e-asīrī ke yahāñ
koī paiġhām-e-rihā.ī nahīñ sunñe vaalā
shikva-e-zaḳhm-e-jigar us se kiyā hai 'dilbar'
vo magar dard-e-judā.ī nahīñ sunñe vaalā
sozish-e-abla-pai nahin sunne wala
rasta koi duhai nahin sunne wala
aisi aawazon ki zad mein hai samaat us ki
wo sada koi parai nahin sunne wala
bas yahi shai hai zamane mein mujhe sab se aziz
main mohabbat ki burai nahin sunne wala
wasl ko chhoD ke hain sari dalilen bekar
hijr ab koi safai nahin sunne wala
guftugu kije magar soch-samajh kar kije
har koi harza-sarai nahin sunne wala
sab ke sab aadi hue zauq-e-asiri ke yahan
koi paigham-e-rihai nahin sunne wala
shikwa-e-zaKHm-e-jigar us se kiya hai 'dilbar'
wo magar dard-e-judai nahin sunne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.