subh aai bhi to kuhron mein izafa ho gaya
sub.h aa.ī bhī to kuhroñ meñ izāfa ho gayā
niiñd kyā TuuTī ki ḳhvāboñ meñ izāfa ho gayā
be-zamīrī ke izāfoñ meñ izāfa ho gayā
yā'nī chaltī-phirtī lāshoñ meñ izāfa ho gayā
ho chukā hai jaise dar-parda qayāmat kā nuzūl
zindagānī ke 'azāboñ meñ izāfa ho gayā
ghar se ghabrā kar zamāna aa gayā maidān meñ
ham ne ye samjhā ki meloñ meñ izāfa ho gayā
kal yahāñ amrūd kā ik baaġh thā vo kyā huā
ab yahāñ kyūñkar babūloñ meñ izāfa ho gayā
dard se fursat milī to aa.ine chubhne lage
zaḳhm bhar jaane se dāġhoñ meñ izāfa ho gayā
khet kī miTTī vahī hai abr-e-bārāñ bhī vahī
kī ga.ī mehnat to fasloñ meñ izāfa ho gayā
nāchne gaane lage mazdūr har dukh bhuul kar
ujratoñ ke chand sikkoñ meñ izāfa ho gayā
kyoñ na ho bārish meñ apnī ḳhush-libāsī dāġh-dār
gāḌiyoñ ke saath chhīñToñ meñ izāfa ho gayā
peḌ suunā ho gayā kuchh der kī ḳhātir to kyā
kaT ga.iiñ shāḳheñ to shāḳhoñ meñ izāfa ho gayā
kyā karūñ 'irfān' kā'be kā maiñ ab ulTā tavāf
vajd kī hālat meñ pheroñ meñ izāfa ho gayā
subh aai bhi to kuhron mein izafa ho gaya
nind kya TuTi ki KHwabon mein izafa ho gaya
be-zamiri ke izafon mein izafa ho gaya
ya'ni chalti-phirti lashon mein izafa ho gaya
ho chuka hai jaise dar-parda qayamat ka nuzul
zindagani ke 'azabon mein izafa ho gaya
ghar se ghabra kar zamana aa gaya maidan mein
hum ne ye samjha ki melon mein izafa ho gaya
kal yahan amrud ka ek bagh tha wo kya hua
ab yahan kyunkar babulon mein izafa ho gaya
dard se fursat mili to aaine chubhne lage
zaKHm bhar jaane se daghon mein izafa ho gaya
khet ki miTTi wahi hai abr-e-baran bhi wahi
ki gai mehnat to faslon mein izafa ho gaya
nachne gane lage mazdur har dukh bhul kar
ujraton ke chand sikkon mein izafa ho gaya
kyon na ho barish mein apni KHush-libasi dagh-dar
gaDiyon ke sath chhinTon mein izafa ho gaya
peD suna ho gaya kuchh der ki KHatir to kya
kaT gain shaKHen to shaKHon mein izafa ho gaya
kya karun 'irfan' ka'be ka main ab ulTa tawaf
wajd ki haalat mein pheron mein izafa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.