subh-e-be-nur na ho dhyan mein rakh
sub.h-e-be-nūr na ho dhyān meñ rakh
ek sūraj ko garebān meñ rakh
din meñ kuchh aur huuñ shab meñ kuchh aur
lamha lamha mujhe pahchān meñ rakh
jal bujhā tāq-e-sahar meñ kab kā
ab mujhe shab ke bayābān meñ rakh
huiiñ yaḳh-basta sabhī pichhlī ruteñ
yaad kī dhuup ko dālān meñ rakh
bach ke is shor-e-samā.at se zarā
apne kuchh raaz mire kaan meñ rakh
maiñ kahāñ aur kahāñ bāzār-e-hunar
dard huuñ 'mīr' ke dīvān meñ rakh
abhī ho jā.egā farq-e-gul-o-sang
maiñ huuñ kyā shai mujhe mīzān meñ rakh
subh-e-be-nur na ho dhyan mein rakh
ek suraj ko gareban mein rakh
din mein kuchh aur hun shab mein kuchh aur
lamha lamha mujhe pahchan mein rakh
jal bujha taq-e-sahar mein kab ka
ab mujhe shab ke bayaban mein rakh
huin yaKH-basta sabhi pichhli ruten
yaad ki dhup ko dalan mein rakh
bach ke is shor-e-samaat se zara
apne kuchh raaz mere kan mein rakh
main kahan aur kahan bazar-e-hunar
dard hun 'mir' ke diwan mein rakh
abhi ho jaega farq-e-gul-o-sang
main hun kya shai mujhe mizan mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.