subh-e-ishrat zindagi ki sham ho kar rah gai
sub.h-e-ishrat zindagī kī shaam ho kar rah ga.ī
hasrat-e-dil maut kā paiġhām ho kar rah ga.ī
tum ne duniyā ko luTā deñ ne.amateñ achchhā kiyā
merī duniyā bas tumhārā naam ho kar rah ga.ī
jis sahar kī ham ne māñgī thī asīrī meñ duā
vo sahar aa.ī to lekin shaam ho kar rah ga.ī
ai mohabbat ke ḳhudā ai ishq ke parvardigār
har tamannā ab ḳhayāl-e-ḳhām ho kar rah ga.ī
ḳhauf-e-rusvā.ī ne mujh ko aah bhī bharne na dī
lab tak aa.ī bhī to un kā naam ho kar rah ga.ī
dekh kar un ko mirī āñkhoñ meñ bhar aa.e the ashk
baat hī kyā thī magar vo aam ho kar rah ga.ī
ahl-e-mahfil dekhte hī 'saif' be-ḳhud ho ga.e
har adā saaqī kī sharh-e-jām ho kar rah ga.ī
subh-e-ishrat zindagi ki sham ho kar rah gai
hasrat-e-dil maut ka paigham ho kar rah gai
tum ne duniya ko luTa den neamaten achchha kiya
meri duniya bas tumhaara nam ho kar rah gai
jis sahar ki hum ne mangi thi asiri mein dua
wo sahar aai to lekin sham ho kar rah gai
ai mohabbat ke KHuda ai ishq ke parwardigar
har tamanna ab KHayal-e-KHam ho kar rah gai
KHauf-e-ruswai ne mujh ko aah bhi bharne na di
lab tak aai bhi to un ka nam ho kar rah gai
dekh kar un ko meri aankhon mein bhar aae the ashk
baat hi kya thi magar wo aam ho kar rah gai
ahl-e-mahfil dekhte hi 'saif' be-KHud ho gae
har ada saqi ki sharh-e-jam ho kar rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.