subh-e-nau aa gai tirgi miT gai shor hai har taraf inqalab aa gaya
subh-e-nau aa gai tirgi miT gai shor hai har taraf inqalab aa gaya
Anand Narayan Mulla
MORE BYAnand Narayan Mulla
sub.h-e-nau aa ga.ī tīrgī miT ga.ī shor hai har taraf inqalāb aa gayā
mujh ko Dar hai añdherā koī raat kā muñh pe Daale sahar kī naqāb aa gayā
husn kī ye adā bhī hai kitnī hasīñ ik tabassum meñ sab kuchh hai kuchh bhī nahīñ
apnī apnī samajh apnā apnā yaqīñ har savāl nazar kā javāb aa gayā
bazm-e-hastī meñ hañgāma barpā kiye koī giitā liye koī qur.āñ liye
maiñ bhī saaqī ke hāthoñ se paa.ī thī jo le ke apnī sunahrī kitāb aa gayā
fitrat-e-husn ko kaun samjhe bhalā gah atā hī atā gah jafā hī jafā
gaah taqsīr kī aur hañsī aa ga.ī gaah sajde kiye aur itaab aa gayā
ziist kī talḳhiyāñ al-amāñ phir bhī vo chhīn paa.eñ na mere laboñ se hañsī
ishq tū ne diyā vo ġham-e-shādmāñ ho ke nākām maiñ kāmyāb aa gayā
gardish-e-roz-o-shab ne na jaane kahāñ kī nikālī hai 'mullā' se ye dushmanī
us ne sāġhar uThāyā sahar ho ga.ī us ne sāġhar rakhā māhtāb aa gayā
subh-e-nau aa gai tirgi miT gai shor hai har taraf inqalab aa gaya
mujh ko Dar hai andhera koi raat ka munh pe Dale sahar ki naqab aa gaya
husn ki ye ada bhi hai kitni hasin ek tabassum mein sab kuchh hai kuchh bhi nahin
apni apni samajh apna apna yaqin har sawal nazar ka jawab aa gaya
bazm-e-hasti mein hangama barpa kiye koi gita liye koi quran liye
main bhi saqi ke hathon se pai thi jo le ke apni sunahri kitab aa gaya
fitrat-e-husn ko kaun samjhe bhala gah ata hi ata gah jafa hi jafa
gah taqsir ki aur hansi aa gai gah sajde kiye aur itab aa gaya
zist ki talKHiyan al-aman phir bhi wo chhin paen na mere labon se hansi
ishq tu ne diya wo gham-e-shadman ho ke nakaam main kaamyab aa gaya
gardish-e-roz-o-shab ne na jaane kahan ki nikali hai 'mulla' se ye dushmani
us ne saghar uThaya sahar ho gai us ne saghar rakha mahtab aa gaya
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 661)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.