subh-e-nau ka KHayal karte hain
sub.h-e-nau kā ḳhayāl karte haiñ
shab-gazīda kamāl karte haiñ
kitne ḳhush haiñ mirī tabāhī par
jo ba-zāhir malāl karte haiñ
jo diloñ ko navāzte haiñ bahut
dil vahī pā.emāl karte haiñ
TuuT jaate haiñ aa.ine phir bhī
ham bahut dekh-bhāl karte haiñ
sochtā huuñ ki lauT kar mujh ko
rāhzan kyoñ malāl karte haiñ
ḳhair marnā to hai bahut āsāñ
jiine vaale kamāl karte haiñ
gaañv meñ hī bhale the ham 'anvar'
shahr meñ ye ḳhayāl karte haiñ
subh-e-nau ka KHayal karte hain
shab-gazida kamal karte hain
kitne KHush hain meri tabahi par
jo ba-zahir malal karte hain
jo dilon ko nawazte hain bahut
dil wahi paemal karte hain
TuT jate hain aaine phir bhi
hum bahut dekh-bhaal karte hain
sochta hun ki lauT kar mujh ko
rahzan kyon malal karte hain
KHair marna to hai bahut aasan
jine wale kamal karte hain
ganw mein hi bhale the hum 'anwar'
shahr mein ye KHayal karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.