subh-e-nau ka surur hain hum log
sub.h-e-nau kā surūr haiñ ham log
zindagī kā ġhurūr haiñ ham log
raunaq-e-kā.enāt ham se hai
chashm-e-getī kā nuur haiñ ham log
khā ga.e haiñ fareb manzil kā
apnī manzil se duur haiñ ham log
shahr-yār-e-jahān-e-fardā haiñ
aaj bebas zarūr haiñ ham log
phir junūñ le rahā hai añgḌā.ī
phir ġham-e-dil se chuur haiñ ham log
terī duniyā meñ aaj rah kar bhī
terī duniyā se duur haiñ ham log
subh-e-nau ka surur hain hum log
zindagi ka ghurur hain hum log
raunaq-e-kaenat hum se hai
chashm-e-geti ka nur hain hum log
kha gae hain fareb manzil ka
apni manzil se dur hain hum log
shahr-yar-e-jahan-e-farda hain
aaj bebas zarur hain hum log
phir junun le raha hai angDai
phir gham-e-dil se chur hain hum log
teri duniya mein aaj rah kar bhi
teri duniya se dur hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.