subh-e-nau koi dam mein jagmagane wali hai
sub.h-e-nau koī dam meñ jagmagāne vaalī hai
raat se na ghabrāo raat jaane vaalī hai
bāġhbāñ ke tevar se jhāñkte haiñ andeshe
fasl-e-gul na jaane kyā gul khilāne vaalī hai
kitne hādsoñ ko ham kar chuke haiñ sharminda
zindagī hameñ kab tak āzmāne vaalī hai
zindagī ko nafrat kā zahr kyoñ pilāte ho
zindagī mohabbat ke giit gaane vaalī hai
un kī chashm-e-mast 'aḳhtar' tishnigān-e-ulfat ko
mast karne vaalī hai ras pilāne vaalī hai
subh-e-nau koi dam mein jagmagane wali hai
raat se na ghabrao raat jaane wali hai
baghban ke tewar se jhankte hain andeshe
fasl-e-gul na jaane kya gul khilane wali hai
kitne hadson ko hum kar chuke hain sharminda
zindagi hamein kab tak aazmane wali hai
zindagi ko nafrat ka zahr kyon pilate ho
zindagi mohabbat ke git gane wali hai
un ki chashm-e-mast 'aKHtar' tishnigan-e-ulfat ko
mast karne wali hai ras pilane wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.