subh-e-sadiq ka abhi jadu nikhar paya na tha
sub.h-e-sādiq kā abhī jaadū nikhar paayā na thā
tā.eroñ ne naġhma-e-hamd-o-sanā gaayā na thā
nik.hatoñ kā shoḳh naġhma raqs meñ aaya na thā
nuqra.ī kirnoñ ne apnā jaal phailāyā na thā
thī mizāj-e-zindagī meñ ik tajassus kī thakan
duur tak bhī manziloñ kā kuchh nishāñ paayā na thā
dhaḌkaneñ hī le rahī thiiñ dhaḌkanoñ kā jā.eza
qurbatoñ ne ḳhush-navā naġhma abhī gaayā na thā
kuchh gumāñ thī kuchh yaqīñ thī shorish-e-hastī yahāñ
ye vo qissa thā jise koī samajh paayā na thā
qurbatoñ meñ jhāñk kar dekhā kiye thā bārhā
dūrī-e-dil ke sivā kuchh bhī nazar aaya na thā
vo adā-e-dil-nashīñ jo soch kī jhankār thī
is adā ne dard kā naġhma abhī gaayā na thā
tere hī faiz-o-karam se mālik-e-kaun-o-makāñ
umr bhar ye dil kisī aalam meñ ghabrāyā na thā
qurbatoñ ke hādsoñ ne baḳhsh dī thiiñ raunaqeñ
āshnā nā-āshnā koī nazar aaya na thā
subh-e-sadiq ka abhi jadu nikhar paya na tha
taeron ne naghma-e-hamd-o-sana gaya na tha
nikhaton ka shoKH naghma raqs mein aaya na tha
nuqrai kirnon ne apna jal phailaya na tha
thi mizaj-e-zindagi mein ek tajassus ki thakan
dur tak bhi manzilon ka kuchh nishan paya na tha
dhaDkanen hi le rahi thin dhaDkanon ka jaeza
qurbaton ne KHush-nawa naghma abhi gaya na tha
kuchh guman thi kuchh yaqin thi shorish-e-hasti yahan
ye wo qissa tha jise koi samajh paya na tha
qurbaton mein jhank kar dekha kiye tha barha
duri-e-dil ke siwa kuchh bhi nazar aaya na tha
wo ada-e-dil-nashin jo soch ki jhankar thi
is ada ne dard ka naghma abhi gaya na tha
tere hi faiz-o-karam se malik-e-kaun-o-makan
umr bhar ye dil kisi aalam mein ghabraya na tha
qurbaton ke hadson ne baKHsh di thin raunaqen
aashna na-ashna koi nazar aaya na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.