Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-tarab meri aankhon mein KHwab kai lahrae the

Shahid Ishqi

subh-e-tarab meri aankhon mein KHwab kai lahrae the

Shahid Ishqi

MORE BYShahid Ishqi

    sub.h-e-tarab merī āñkhoñ meñ ḳhvāb ka.ī lahrā.e the

    shām-e-alam ke sāthī lekin baḌhte phailte saa.e the

    ek tumhāre pyaar ḳhātir jag ke dukh apnā.e the

    ham ne apne ek diip se kitne diip jalā.e the

    sirf javānī ke kuchh din umr hāsil hote haiñ

    aur javānī ke ye din bhī ham ko raas na aa.e the

    husn ko ham ne amar kahā thā pyaar ko sachchā jaanā thā

    ek javānī ke kas bal par saare sach jhuTlā.e the

    us ke binā jo umr guzārī be-masraf lagtī thī

    us be-mehr se dil ko lagā kar bhī ham pachhtā.e the

    be-mehrī tohmat bhī hai mehr-o-muravvat vāloñ par

    usī havā ne murjhā.e haiñ jis ne phuul khilā.e the

    ġharq-e-bāda-e-nāb hue vo chāñd se chehre phuul se jism

    tum ne jin yaad meñ 'ishqī' jaam kabhī Takrā.e the

    subh-e-tarab meri aankhon mein KHwab kai lahrae the

    sham-e-alam ke sathi lekin baDhte phailte sae the

    ek tumhaare pyar ki KHatir jag ke dukh apnae the

    hum ne apne ek dip se kitne dip jalae the

    sirf jawani ke kuchh din hi umr ka hasil hote hain

    aur jawani ke ye din bhi hum ko ras na aae the

    husn ko hum ne amar kaha tha pyar ko sachcha jaana tha

    ek jawani ke kas bal par sare sach jhuTlae the

    us ke bina jo umr guzari be-masraf si lagti thi

    us be-mehr se dil ko laga kar bhi hum hi pachhtae the

    be-mehri ki tohmat bhi hai mehr-o-murawwat walon par

    usi hawa ne murjhae hain jis ne phul khilae the

    gharq-e-baada-e-nab hue wo chand se chehre phul se jism

    tum ne jin ki yaad mein 'ishqi' jam kabhi Takrae the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now