subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun
sub.h-e-vajūd huuñ ki shab-e-intizār huuñ
maiñ āshkār huuñ ki pas-e-āshkār huuñ
har rañg-e-be-qarār huuñ har naqsh-e-nā-tamām
miTTī kā dard huuñ ki sitāroñ kā pyaar huuñ
kuchh to mire vajūd kā hissa hai tere paas
varna maiñ apne aap meñ kyuuñ intizār huuñ
ik aur āsmān chamaktā hai ḳhvāb meñ
ik aur kā.enāt kā ā.īna-dār huuñ
tū ne mujhe ḳhayāl kiyā thā isī tarah
gard-o-ġhubār meñ bhī sitāra-shi.ār huuñ
jaarī ho be-mahār ta'alluq kī salsabīl
ik aisī barshgāl kā ummīd-vār huuñ
kaise khaḌā huuñ kis ke sahāre khaḌā huuñ maiñ
apnā yaqīn huuñ ki tirā e'tibār huuñ
ik baar apne ghar se nikālā gayā thā maiñ
phir is ke baa'd gardish-e-lail-o-nahār huuñ
bas kuchh dinoñ kī aur sa'ūbat hai dhuup kī
sahrā-e-jism paar koī barg-zār huuñ
tere jamāl se mirī āñkhoñ meñ nuur hai
terā ḳhayāl hai to maiñ bāġh-o-bahār huuñ
sāñsoñ ke darmiyān sulagte haiñ bāl-o-par
phir bhī kisī uḌaan kā ummīd-vār huuñ
'ahmad' kisī zamān-o-makāñ kā nahīñ huuñ maiñ
lamhoñ kī der hai jo sar-e-ābshār huuñ
subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun
main aashkar hun ki pas-e-ashkar hun
har rang-e-be-qarar hun har naqsh-e-na-tamam
miTTi ka dard hun ki sitaron ka pyar hun
kuchh to mere wajud ka hissa hai tere pas
warna main apne aap mein kyun intizar hun
ek aur aasman chamakta hai KHwab mein
ek aur kaenat ka aaina-dar hun
tu ne mujhe KHayal kiya tha isi tarah
gard-o-ghubar mein bhi sitara-shiar hun
jari ho be-mahaar ta'alluq ki salsabil
ek aisi barshgal ka ummid-war hun
kaise khaDa hun kis ke sahaare khaDa hun main
apna yaqin hun ki tera e'tibar hun
ek bar apne ghar se nikala gaya tha main
phir is ke ba'd gardish-e-lail-o-nahaar hun
bas kuchh dinon ki aur sa'ubat hai dhup ki
sahra-e-jism par koi barg-zar hun
tere jamal se meri aankhon mein nur hai
tera KHayal hai to main bagh-o-bahaar hun
sanson ke darmiyan sulagte hain baal-o-par
phir bhi kisi uDan ka ummid-war hun
'ahmad' kisi zaman-o-makan ka nahin hun main
lamhon ki der hai jo sar-e-abshaar hun
- Book : Salsal (Pg. 43)
- Author : Ahmad Shanas
- Publication : Rahbar Book Service (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.