subh-e-wasl-e-KHwab hai ajmal kisi mahbub chehre ki tarah
subh-e-wasl-e-KHwab hai ajmal kisi mahbub chehre ki tarah
Mohammad Ajmal Niyazi
MORE BYMohammad Ajmal Niyazi
sub.h-e-vasl-e-ḳhvāb hai ajmal kisī mahbūb chehre kī tarah
shahr ke saare manāzir haiñ kisī andar ke jazbe kī tarah
tairtī haiñ ḳhuun ke behr-e-qayāmat meñ faqat qurbāniyāñ
ai dil-e-be-tāb zāhir ho kisī raushan jazīre kī tarah
hairat-e-tā۔bīr se bāhar nikal ai sabz ḳhvāboñ kī zamīñ
apnī āñkhoñ meñ bichhā ḳhud ko kisī hamrāz ḳhitte kī tarah
qarya-e-ishq-e-mohammad meñ nigāh-e-ḳhāk se dekhe koī
zarra zarra ho ke bikhrā huuñ kisī ābād raste kī tarah
vaqt us ke naam se mansūb ho kar be-amāñ hai āj-kal
zindagī aks-e-tamanna meñ kisī sachche zamāne kī tarah
subh-e-wasl-e-KHwab hai ajmal kisi mahbub chehre ki tarah
shahr ke sare manazir hain kisi andar ke jazbe ki tarah
tairti hain KHun ke behr-e-qayamat mein faqat qurbaniyan
ai dil-e-be-tab zahir ho kisi raushan jazire ki tarah
hairat-e-ta۔bir se bahar nikal ai sabz KHwabon ki zamin
apni aankhon mein bichha KHud ko kisi hamraaz KHitte ki tarah
qarya-e-ishq-e-mohammad mein nigah-e-KHak se dekhe koi
zarra zarra ho ke bikhra hun kisi aabaad raste ki tarah
waqt us ke nam se mansub ho kar be-aman hai aaj-kal
zindagi aks-e-tamanna mein kisi sachche zamane ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.