subh hoti hai to phir sham se ji Darta hai
sub.h hotī hai to phir shaam se jī Dartā hai
uf ye āġhāz ki anjām se jī Dartā hai
na alāmat hai na tashḳhīs na chāra jis kā
jaane kis ranjish-e-be-nām se jī Dartā hai
jur.at-e-shauq ko kuchh aise Dasā hai ġham ne
aaj mai-ḳhāne ke har jaam se jī Dartā hai
Dhal gayā ḳhauf-e-ḳhudā husn-e-butāñ meñ shāyad
varna kyoñ sūrat-e-asnām se jī Dartā hai
zulf-bar-dosh ye chehre mujhe ma.azūr rakheñ
dhuup aur chhāñv ke is daam se jī Dartā hai
murtakib jurm-e-mohabbat ke hue kuchh aise
ab na ilzām na dushnām se jī Dartā hai
koī likkhe na pukāre mujhe 'rāhī' kah kar
dosto ab mirā is naam se jī Dartā hai
subh hoti hai to phir sham se ji Darta hai
uf ye aaghaz ki anjam se ji Darta hai
na alamat hai na tashKHis na chaara jis ka
jaane kis ranjish-e-be-nam se ji Darta hai
jurat-e-shauq ko kuchh aise Dasa hai gham ne
aaj mai-KHane ke har jam se ji Darta hai
Dhal gaya KHauf-e-KHuda husn-e-butan mein shayad
warna kyon surat-e-asnam se ji Darta hai
zulf-bar-dosh ye chehre mujhe mazur rakhen
dhup aur chhanw ke is dam se ji Darta hai
murtakib jurm-e-mohabbat ke hue kuchh aise
ab na ilzam na dushnam se ji Darta hai
koi likkhe na pukare mujhe 'rahi' kah kar
dosto ab mera is nam se ji Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.