subh karte hain sham karte hain
sub.h karte haiñ shaam karte haiñ
ham mohabbat ko aam karte haiñ
koī maz.hab ho zaat ho koī
sab kā ham ehtirām karte haiñ
fikr-e-uqbā hameñ bhī hai vaa.iz
zikr-e-rab sub.h-o-shām karte haiñ
chashm-e-nam kam nahīñ qayāmat se
āb-o-ātish qiyām karte haiñ
ilm kī raushnī jahāñ bhī mile
ham vahīñ par qiyām karte haiñ
dil 'sharar' masjid-o-shivāla hai
dil kā ham ehtirām karte haiñ
subh karte hain sham karte hain
hum mohabbat ko aam karte hain
koi mazhab ho zat ho koi
sab ka hum ehtiram karte hain
fikr-e-uqba hamein bhi hai waiz
zikr-e-rab subh-o-sham karte hain
chashm-e-nam kam nahin qayamat se
aab-o-atish qiyam karte hain
ilm ki raushni jahan bhi mile
hum wahin par qiyam karte hain
dil 'sharar' masjid-o-shiwala hai
dil ka hum ehtiram karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.