subh likhti hai tera nam meri aankhon mein
sub.h likhtī hai tirā naam mirī āñkhoñ meñ
qaid tanhā.ī kī hai shaam merī āñkhoñ meñ
niiñd aatī hai duā de ke chalī jaatī hai
ashk jab kartā hai ārām mirī āñkhoñ meñ
ab tire naqsh-e-kaf-e-pā ko miTāne ḳhushbū
aa.ī hai gardish-e-ayyām mirī āñkhoñ meñ
do qadam saath chale tab to batā.ūñ us ko
hai tirī manzil-e-gum-nām mirī āñkhoñ meñ
tujh ko auroñ se chhupāyā hai hamesha lekin
saaf dikhātā hai tirā naam mirī āñkhoñ meñ
phir se āġhāz-e-mohabbat maiñ karūñ to kaise
qaid haiñ ishq ke anjām mirī āñkhoñ meñ
subh likhti hai tera nam meri aankhon mein
qaid tanhai ki hai sham meri aankhon mein
nind aati hai dua de ke chali jati hai
ashk jab karta hai aaram meri aankhon mein
ab tere naqsh-e-kaf-e-pa ko miTane KHushbu
aai hai gardish-e-ayyam meri aankhon mein
do qadam sath chale tab to bataun us ko
hai teri manzil-e-gum-nam meri aankhon mein
tujh ko auron se chhupaya hai hamesha lekin
saf dikhata hai tera nam meri aankhon mein
phir se aaghaz-e-mohabbat main karun to kaise
qaid hain ishq ke anjam meri aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.