subh milti hai to maghmum mila karti hai
sub.h miltī hai to maġhmūm milā kartī hai
varna hañstī huī shab roz sajā kartī hai
naġhma-o-raqs kī gardish meñ havā.ī duniyā
din ke masrūf ujāloñ meñ ye kyā kartī hai
chāñd ke baad sitāroñ ko pakaḌne kī ravish
nazm-e-fitrat se mazāq aur nayā kartī hai
dāman-e-gul kiyā pāmāl sabā ko bad-hāl
vaqt kī āñdhī hai rah rah ke chalā kartī hai
sachche jazbe hue jaate haiñ havas ālūda
jo bhī kartī hai vo tahrīk-e-havā kartī hai
nīlgūñ āñkhoñ meñ phaile hue bahr-e-asvad
sub.h peshānī se tāroñ ko chunā kartī hai
subh milti hai to maghmum mila karti hai
warna hansti hui shab roz saja karti hai
naghma-o-raqs ki gardish mein hawai duniya
din ke masruf ujalon mein ye kya karti hai
chand ke baad sitaron ko pakaDne ki rawish
nazm-e-fitrat se mazaq aur naya karti hai
daman-e-gul kiya pamal saba ko bad-haal
waqt ki aandhi hai rah rah ke chala karti hai
sachche jazbe hue jate hain hawas aaluda
jo bhi karti hai wo tahrik-e-hawa karti hai
nilgun aankhon mein phaile hue bahr-e-aswad
subh peshani se taron ko chuna karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.