subh se chaak bhi ho daman-e-shab zid hai use
sub.h se chaak bhī ho dāman-e-shab zid hai use
ain mātam meñ saje bazm-e-tarab zid hai use
ḳhud har ik baat se vāqif hai magar auroñ ko
kuchh nahīñ jānñe detā ye ajab zid hai use
us ko sab ek hai yuuñ dard-o-sukūñ vasl-o-firāq
haañ magar merī tamannā ke sabab zid hai use
baat apnoñ kī pakaḌ le to kahāñ chhoḌtā hai
darguzar ġhair se farmā.e to kab zid hai use
sar agar ḳham hai to mahfūz ḳham-e-teġh se hai
aur agar zer-e-sipar hai to ġhazab zid hai use
sun ke qāsid ne kahā merī dalīleñ 'ḳhurshīd'
ḳhair pahle jo nahīñ bhī thī to ab zid hai use
subh se chaak bhi ho daman-e-shab zid hai use
ain matam mein saje bazm-e-tarab zid hai use
KHud har ek baat se waqif hai magar auron ko
kuchh nahin jaanne deta ye ajab zid hai use
us ko sab ek hai yun dard-o-sukun wasl-o-firaq
han magar meri tamanna ke sabab zid hai use
baat apnon ki pakaD le to kahan chhoDta hai
darguzar ghair se farmae to kab zid hai use
sar agar KHam hai to mahfuz KHam-e-tegh se hai
aur agar zer-e-sipar hai to ghazab zid hai use
sun ke qasid ne kaha meri dalilen 'KHurshid'
KHair pahle jo nahin bhi thi to ab zid hai use
- Book : Pakistani Adab (Pg. 459)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.