subh se sham tak rahe sae
sub.h se shaam tak rahe saa.e
phir achānak hī kho ga.e saa.e
zindagī kā sulūk kaisā hai
ik muhājir se pūchhte saa.e
zindagī ke hisāb meñ gum haiñ
bār-e-hastī se hāñpte saa.e
merī tanhā.iyoñ ke sho.aloñ meñ
niiñd se ḳhvāb tak jale saa.e
kaisī chandan ke paas ḳhushbū hai
saañp jaise haiñ reñgte saa.e
jhiil meñ dil kī yaad ke patthar
dā.era ban ke phailte saa.e
ye tashaddud kī ḳhaufnāk havā
jism-o-jāñ kyā haiñ kāñpte saa.e
subh se sham tak rahe sae
phir achanak hi kho gae sae
zindagi ka suluk kaisa hai
ek muhajir se puchhte sae
zindagi ke hisab mein gum hain
bar-e-hasti se hanpte sae
meri tanhaiyon ke shoalon mein
nind se KHwab tak jale sae
kaisi chandan ke pas KHushbu hai
sanp jaise hain rengte sae
jhil mein dil ki yaad ke patthar
daera ban ke phailte sae
ye tashaddud ki KHaufnak hawa
jism-o-jaan kya hain kanpte sae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.