subh to dekha tha waqt-e-sham aa kar dekhiye
subh to dekha tha waqt-e-sham aa kar dekhiye
Syed Husain Ali Jafri
MORE BYSyed Husain Ali Jafri
sub.h to dekhā thā vaqt-e-shām aa kar dekhiye
apne dīvāne kā ab anjām aa kar dekhiye
kuchh nahīñ ma.alūm hai kis vaqt ye dam toḌ de
hālat-e-bīmār sub.h-o-shām aa kar dekhiye
lab pe aaheñ dil meñ dhaḌkan TimTimātā ik charāġh
kis qadar rangīñ hai merī shaam aa kar dekhiye
naaz se vo kah rahe haiñ ruḳh pe zulfeñ Daal kar
sub.h pe chhā.ī huī hai shaam aa kar dekhiye
aap kī furqat meñ khātā hai jahāñ kī Thokareñ
bekasī-e-āshiq-e-nākām aa kar dekhiye
dam-ba-dam ye bah rahā hai kis kī āñkhoñ se lahū
kaun hai ye larza-bar-andām aa kar dekhiye
jhilmilāte haiñ hazāroñ ārzūoñ ke charāġh
'ja.afarī' kī qabr vaqt-e-shām aa kar dekhiye
subh to dekha tha waqt-e-sham aa kar dekhiye
apne diwane ka ab anjam aa kar dekhiye
kuchh nahin malum hai kis waqt ye dam toD de
haalat-e-bimar subh-o-sham aa kar dekhiye
lab pe aahen dil mein dhaDkan TimTimata ek charagh
kis qadar rangin hai meri sham aa kar dekhiye
naz se wo kah rahe hain ruKH pe zulfen Dal kar
subh pe chhai hui hai sham aa kar dekhiye
aap ki furqat mein khata hai jahan ki Thokaren
bekasi-e-ashiq-e-nakaam aa kar dekhiye
dam-ba-dam ye bah raha hai kis ki aankhon se lahu
kaun hai ye larza-bar-andam aa kar dekhiye
jhilmilate hain hazaron aarzuon ke charagh
'jafari' ki qabr waqt-e-sham aa kar dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.