subh uThta hun to do chaar paDe rahte hain
sub.h uThtā huuñ to do chaar paḌe rahte haiñ
ḳhvāb TuuTe hue bedār paḌe rahte haiñ
tū nahīñ hai to koī rabt nahīñ duniyā se
shaam tak sub.h ke aḳhbār paḌe rahte haiñ
ghar bhī rahtā hai ye bikhrā huā kāġhaz par bhī
aadhe chhūTe hue ash'ār paḌe rahte haiñ
kaash us aur un āñkhoñ kā darīcha khul jaa.e
ham tire kūche meñ lāchār paḌe rahte haiñ
koī aa.e bhī tire dar pe to kaise aa.e
vaqt be-vaqt to aġhyār paḌe rahte haiñ
subh uThta hun to do chaar paDe rahte hain
KHwab TuTe hue bedar paDe rahte hain
tu nahin hai to koi rabt nahin duniya se
sham tak subh ke aKHbar paDe rahte hain
ghar bhi rahta hai ye bikhra hua kaghaz par bhi
aadhe chhuTe hue ash'ar paDe rahte hain
kash us aur un aankhon ka daricha khul jae
hum tere kuche mein lachaar paDe rahte hain
koi aae bhi tere dar pe to kaise aae
waqt be-waqt to aghyar paDe rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.