subhen kirnen tha main, phir bhi shamen phir bhi raat
subhen kirnen tha main, phir bhi shamen phir bhi raat
Nikhat Yasmeen Gul
MORE BYNikhat Yasmeen Gul
sub.heñ kirneñ thā maiñ, phir bhī shāmeñ phir bhī raat
ik parda, phir fardā hai aur phir aage kī baat
socheñ taare nocheñ aur jā pahuñcheñ kitnī duur
dil hai gahrā ik jā Thahrā khoje apnī zaat
ik chādar lafzoñ kī bun kar chhup chhup baiThūñ oT
par āñkheñ apnī hāñkeñ aur khultī jaa.e baat
ghāteñ us kī saarī bāteñ ghāteñ us ke taur
ghaat hai ulfat, ghaat hai nafrat aur naināñ haiñ ghaat
āñchal chhoḌūñ bādal oḌhūñ pīchhe pīchhe chāñd
āñkheñ kholūñ, laakh TaTolūñ kuchh nahīñ mere haat
ishq meñ pahle pal dil chanchal, duujā pal ik rog
tiije pal ye naināñ jal-thal, chauthe pal sab maat
barkhā kā qatra bhī dariyā saare rut ke khel
bhādoñ kī chhājoñ bārish bhī pal do pal kī baat
subhen kirnen tha main, phir bhi shamen phir bhi raat
ek parda, phir farda hai aur phir aage ki baat
sochen tare nochen aur ja pahunchen kitni dur
dil hai gahra ek ja Thahra khoje apni zat
ek chadar lafzon ki bun kar chhup chhup baiThun oT
par aankhen apni hanken aur khulti jae baat
ghaten us ki sari baaten ghaten us ke taur
ghat hai ulfat, ghat hai nafrat aur nainan hain ghat
aanchal chhoDun baadal oDhun pichhe pichhe chand
aankhen kholun, lakh TaTolun kuchh nahin mere hat
ishq mein pahle pal dil chanchal, duja pal ek rog
tije pal ye nainan jal-thal, chauthe pal sab mat
barkha ka qatra bhi dariya sare rut ke khel
bhadon ki chhajon barish bhi pal do pal ki baat
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 402)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.