subuk hoti hawa se tez chalna chahti hun
subuk hotī havā se tez chalnā chāhtī huuñ
maiñ ik jalte diye ke saath jalnā chāhtī huuñ
ġhubār-e-be-yaqīnī ne mujhe rokā huā hai
zamīñ se phuuT kar bāhar nikalnā chāhtī huuñ
maiñ ḳhud sahmī huī huuñ aa.ine ke TūTne se
bahut āhista sat.h-e-dil pe chalnā chāhtī huuñ
numūd-e-sub.h se pahle kā lamha dekhne ko
añdherī raat ke paikar meñ Dhalnā chāhtī huuñ
maiñ shahr-e-shab ko āñkhoñ kī duā dene se pahle
dar-o-dīvār kā chehra badalnā chāhtī huuñ
kisī ke ḳhvāb kī takmīl meñ patthar huī thī
ab apne ḳhvāb kī lau se pighalnā chāhtī huuñ
subuk hoti hawa se tez chalna chahti hun
main ek jalte diye ke sath jalna chahti hun
ghubar-e-be-yaqini ne mujhe roka hua hai
zamin se phuT kar bahar nikalna chahti hun
main KHud sahmi hui hun aaine ke TuTne se
bahut aahista sath-e-dil pe chalna chahti hun
numud-e-subh se pahle ka lamha dekhne ko
andheri raat ke paikar mein Dhalna chahti hun
main shahr-e-shab ko aankhon ki dua dene se pahle
dar-o-diwar ka chehra badalna chahti hun
kisi ke KHwab ki takmil mein patthar hui thi
ab apne KHwab ki lau se pighalna chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.