subu hai aur shisha hai na koi jam hai saqi
subū hai aur shīsha hai na koī jaam hai saaqī
zabāñ par rind-mashrab kī ḳhudā kā naam hai saaqī
shikāyat gardish-e-daurāñ kī karte bhī to kyā karte
ajal hī jab ilāj-e-gardish-e-ayyām hai saaqī
kahāñ vo fikr-o-fan kā mai-kada ābād thā jin se
na 'ġhālib' hai na 'saudā' hai na vo 'ḳhayyām' hai saaqī
kashākash se ġham-o-ālām kī ab mil ga.ī fursat
tirī zulfoñ ke saa.e meñ baḌā ārām hai saaqī
qafas meñ hausla parvāz kā dam toḌ detā hai
na ḳhatra bād-o-bārāñ kā na ḳhauf-e-dām hai saaqī
ġham-o-andoh kī shiddat meñ poshīda masarrat hai
masarrat ek aks-e-shiddat-e-ālām hai saaqī
maiñ vo āzād huuñ jo bāda-e-irfāñ kā tishna hai
pilā de ok se merā piyāla ḳhaam hai saaqī
subu hai aur shisha hai na koi jam hai saqi
zaban par rind-mashrab ki KHuda ka nam hai saqi
shikayat gardish-e-dauran ki karte bhi to kya karte
ajal hi jab ilaj-e-gardish-e-ayyam hai saqi
kahan wo fikr-o-fan ka mai-kada aabaad tha jin se
na 'ghaalib' hai na 'sauda' hai na wo 'KHayyam' hai saqi
kashakash se gham-o-alam ki ab mil gai fursat
teri zulfon ke sae mein baDa aaram hai saqi
qafas mein hausla parwaz ka dam toD deta hai
na KHatra baad-o-baran ka na KHauf-e-dam hai saqi
gham-o-andoh ki shiddat mein poshida masarrat hai
masarrat ek aks-e-shiddat-e-alam hai saqi
main wo aazad hun jo baada-e-irfan ka tishna hai
pila de ok se mera piyala KHam hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.