subu se kaam hai botal se kaam jam se kaam
subū se kaam hai botal se kaam jaam se kaam
vo rind ham haiñ ki rakhte haiñ apne kaam se kaam
na leñ vo bande se ḳhidmat na leñ ġhulām se kaam
ki bandagī se ġharaz hai mujhe salām se kaam
kiyā hai qat-e-ta.alluq to kyoñ bulāte ho
tumheñ ġharaz tumheñ matlab tumheñ ġhulām se kaam
hamāre phuul pas-e-qatl ġhair ko denā
tumheñ to naam se matlab hai dhūm-dhām se kaam
tamām din hameñ dil kī tasalliyoñ se ġharaz
tamām shab hameñ nāloñ kī rok-thām se kaam
kisī kā naaz se kahnā vo yaad hai shab-e-vasl
koī jiye ki mare un ko apne kaam se kaam
adā-e-ḳhās se matlab tumhāre ġhamze ko
tumhāre ḳhanjar-e-abrū ko qatl-e-ām se kaam
natīja-e-kashish-e-yār naza.a-e-jāñ niklā
tamām ho hī gayā jazb-e-nā-tamām se kaam
banāv meñ ruḳh-o-gesū ke rahte ho shab-o-roz
vo kaam sub.h se tum ko ye tum ko shaam se kaam
nikālo ghar se na banda banā ke 'rāsiḳh' ko
paḌegā ek na ik din isī ġhulām se kaam
subu se kaam hai botal se kaam jam se kaam
wo rind hum hain ki rakhte hain apne kaam se kaam
na len wo bande se KHidmat na len ghulam se kaam
ki bandagi se gharaz hai mujhe salam se kaam
kiya hai qat-e-talluq to kyon bulate ho
tumhein gharaz tumhein matlab tumhein ghulam se kaam
hamare phul pas-e-qatl ghair ko dena
tumhein to nam se matlab hai dhum-dham se kaam
tamam din hamein dil ki tasalliyon se gharaz
tamam shab hamein nalon ki rok-tham se kaam
kisi ka naz se kahna wo yaad hai shab-e-wasl
koi jiye ki mare un ko apne kaam se kaam
ada-e-KHas se matlab tumhaare ghamze ko
tumhaare KHanjar-e-abru ko qatl-e-am se kaam
natija-e-kashish-e-yar naza-e-jaan nikla
tamam ho hi gaya jazb-e-na-tamam se kaam
banaw mein ruKH-o-gesu ke rahte ho shab-o-roz
wo kaam subh se tum ko ye tum ko sham se kaam
nikalo ghar se na banda bana ke 'rasiKH' ko
paDega ek na ek din isi ghulam se kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.