sukh chain ho ki dard ye meri zamin hai
sukh chain ho ki dard ye merī zamīn hai
maiñ huuñ yahīñ kā fard ye merī zamīn hai
jab dekhtā huuñ garmī-e-taḳhrīb har taraf
bhartā huuñ āh-e-sard ye merī zamīn hai
ġhārat-garoñ ne sabza-o-gul ḳhaak kar diye
dekho ye uḌtī gard ye merī zamīn hai
ai rabb-e-amn kaun batā.e mujhe ki kyoñ
maidāñ pa-e-nabard ye merī zamīn hai
vo terā āsmāñ hai mah-o-mehr surḳh-rū
phūloñ ke rang zard ye merī zamīn hai
koh-e-sitam se tere ziyāda hai sanglāḳh
īzā-pasand mard ye merī zamīn hai
sayyārgāñ haiñ laakh sar-e-āsmān-e-sher
aa.eñ ġhazal-navard ye merī zamīn hai
sukh chain ho ki dard ye meri zamin hai
main hun yahin ka fard ye meri zamin hai
jab dekhta hun garmi-e-taKHrib har taraf
bharta hun aah-e-sard ye meri zamin hai
ghaarat-garon ne sabza-o-gul KHak kar diye
dekho ye uDti gard ye meri zamin hai
ai rabb-e-amn kaun batae mujhe ki kyon
maidan pa-e-nabard ye meri zamin hai
wo tera aasman hai mah-o-mehr surKH-ru
phulon ke rang zard ye meri zamin hai
koh-e-sitam se tere ziyaada hai sanglaKH
iza-pasand mard ye meri zamin hai
sayyargan hain lakh sar-e-asman-e-sher
aaen ghazal-naward ye meri zamin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.