sukh ki bohtat hai zindagi zaKHm de
sukh kī bohtāt hai zindagī zaḳhm de
merā dukh baañT kar phir koī zaḳhm de
justujū phir koī dil meñ rasta banā
phir se nākāmiyoñ kā vahī zaḳhm de
raushnī ho nazar-dar-nazar raushnī
ik kamī hai kamī-dar-kamī zaḳhm de
gum-shuda chāhatoñ kā vazīfa paḌhā
bolte manzaroñ kī galī zaḳhm de
tū mujhe zindagī kā qarīna sikhā
mujh pe ehsān kar dil-lagī zaḳhm de
dard kā zā.iqa bhuul baiThā huuñ maiñ
aisā kar tū mujhe is ghaḌī zaḳhm de
nutq-e-'ādil' kī shīrīnī kam ho zarā
talḳhī-e-hijr kī bekalī zaḳhm de
sukh ki bohtat hai zindagi zaKHm de
mera dukh banT kar phir koi zaKHm de
justuju phir koi dil mein rasta bana
phir se nakaamiyon ka wahi zaKHm de
raushni ho nazar-dar-nazar raushni
ek kami hai kami-dar-kami zaKHm de
gum-shuda chahaton ka wazifa paDha
bolte manzaron ki gali zaKHm de
tu mujhe zindagi ka qarina sikha
mujh pe ehsan kar dil-lagi zaKHm de
dard ka zaiqa bhul baiTha hun main
aisa kar tu mujhe is ghaDi zaKHm de
nutq-e-'adil' ki shirini kam ho zara
talKHi-e-hijr ki bekali zaKHm de
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.