suKHan-asar mausam ka khula manzar banana hai
suḳhan-āsār mausam kā khulā manzar banānā hai
mujhe sahrā kināre phuul sā manzar banānā hai
safīr-e-sub.h ā.inda huuñ saarī raat jāgūñgā
parindoñ kī tarah ik dil-kushā manzar banānā hai
lahū mausam meñ gholūñgā hunar paikar-tarāshī kā
ki patthar meñ chhupī tasvīr kā manzar banānā hai
mujhe bāb-e-asar bhī kholnā hai āsmānoñ meñ
zamīnoñ ke duā-ghar meñ duā manzar banānā hai
yahī ḳhvāhish hai mere sabz-poshoñ ke qabīle kī
mujhe phir is zamīñ ko karbalā-manzar banānā hai
mire virse meñ to sahrā hī likkhā hai magar mujh ko
madīne kī khajūroñ se sajā manzar banānā hai
yaqīnan phir tavāf-e-zāt kā manzar banā.ūñgā
magar pahle mujhe sajdoñ bharā manzar banānā hai
koī dekhe to is lā-manzarī kī dhund se aage
koī soche to is ke baad kyā manzar banānā hai
fasīl-e-qasr-e-kohna ke muqābil dhuup kā manzar
sunahrī dhuup kā mujh ko nayā manzar banānā hai
nayā rang-e-suḳhan ījād karnā hai mujhe 'shaukat'
ġhazal ke shahr meñ ik ḳhushnumā manzar banānā hai
suKHan-asar mausam ka khula manzar banana hai
mujhe sahra kinare phul sa manzar banana hai
safir-e-subh aainda hun sari raat jagunga
parindon ki tarah ek dil-kusha manzar banana hai
lahu mausam mein gholunga hunar paikar-tarashi ka
ki patthar mein chhupi taswir ka manzar banana hai
mujhe bab-e-asar bhi kholna hai aasmanon mein
zaminon ke dua-ghar mein dua manzar banana hai
yahi KHwahish hai mere sabz-poshon ke qabile ki
mujhe phir is zamin ko karbala-manzar banana hai
mere wirse mein to sahra hi likkha hai magar mujh ko
madine ki khajuron se saja manzar banana hai
yaqinan phir tawaf-e-zat ka manzar banaunga
magar pahle mujhe sajdon bhara manzar banana hai
koi dekhe to is la-manzari ki dhund se aage
koi soche to is ke baad kya manzar banana hai
fasil-e-qasr-e-kohna ke muqabil dhup ka manzar
sunahri dhup ka mujh ko naya manzar banana hai
naya rang-e-suKHan ijad karna hai mujhe 'shaukat'
ghazal ke shahr mein ek KHushnuma manzar banana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.