suKHan mein tazgi-o-imbisat barqarar hai
suḳhan meñ tāzgī-o-imbisāt barqarār hai
samā.atoñ meñ is liye nashāt barqarār hai
bulā liyā jo bazm meñ ḳhabar bhī lījiye zarā
hamāre zehn meñ vo iḳhtilāt barqarār hai
gumān meñ liye ḳhushī har ik umiid kho ga.ī
jo darmiyāñ thā ab vo inhitāt barqarār hai
maiñ kyā karūñ sitam-shi.ār log ās-pās haiñ
mukālme meñ un se ehtiyāt barqarār hai
huzūr mashq kījiye ġhazal kī sinf hai kaThin
hamesha behtarī kā ik sirāt barqarār hai
na.ī na.ī zamīn meñ kahī hai ye ġhazal magar
suḳhan meñ kamtarī kā irtibāt barqarār hai
suKHan mein tazgi-o-imbisat barqarar hai
samaaton mein is liye nashat barqarar hai
bula liya jo bazm mein KHabar bhi lijiye zara
hamare zehn mein wo iKHtilat barqarar hai
guman mein liye KHushi har ek umid kho gai
jo darmiyan tha ab wo inhitat barqarar hai
main kya karun sitam-shiar log aas-pas hain
mukalme mein un se ehtiyat barqarar hai
huzur mashq kijiye ghazal ki sinf hai kaThin
hamesha behtari ka ek siraat barqarar hai
nai nai zamin mein kahi hai ye ghazal magar
suKHan mein kamtari ka irtibaat barqarar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.