suKHan suKHan mein wo ramz-ashna dikhai di
suḳhan suḳhan meñ vo ramz-āshnā dikhā.ī dī
zanān-e-shahr meñ sab se judā dikhā.ī dī
guzār aa.e vo har lamha shab-parastī meñ
sahar kī raushnī mujh se ḳhafā dikhā.ī dī
maiñ us se dil kī koī baat bhī chhupā na sakā
vo ajnabī thī magar āshnā dikhā.ī dī
mire gumāñ meñ na thā jism-o-jāñ bhī vāregī
jahāñ kahīñ milī be-e'tinā dikhā.ī dī
kise ḳhabar thī vo āseb-gāh niklegī
ġhubār-e-māh meñ duur ik sarā dikhā.ī dī
mizāj-pursī kujā aañkh bhī milā na sakā
akelī saḌkoñ pe vo bārhā dikhā.ī dī
suKHan suKHan mein wo ramz-ashna dikhai di
zanan-e-shahr mein sab se juda dikhai di
guzar aae wo har lamha shab-parasti mein
sahar ki raushni mujh se KHafa dikhai di
main us se dil ki koi baat bhi chhupa na saka
wo ajnabi thi magar aashna dikhai di
mere guman mein na tha jism-o-jaan bhi waregi
jahan kahin mili be-e'tina dikhai di
kise KHabar thi wo aaseb-gah niklegi
ghubar-e-mah mein dur ek sara dikhai di
mizaj-pursi kuja aankh bhi mila na saka
akeli saDkon pe wo barha dikhai di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.