suKHan to karte hain makkariyan nahin karte
suḳhan to karte haiñ makkāriyāñ nahīñ karte
ki dostoñ se vafādāriyāñ nahīñ karte
dikhāte rahte haiñ ahbāb zindagī kā nisāb
magar nisāb se ġhaddāriyāñ nahīñ karte
jalā.e rakhte haiñ āñkhoñ kī putliyoñ pe charāġh
ye raushnī pe azādāriyāñ nahīñ karte
hamārā mas.ala ye hai ki ham mohabbat meñ
fareb khāte haiñ fan-kāriyāñ nahīñ karte
'nadīm' shahr ke dīvār-o-dar kī sunte haiñ
magar kisī se ravā-dāriyāñ nahīñ karte
suKHan to karte hain makkariyan nahin karte
ki doston se wafadariyan nahin karte
dikhate rahte hain ahbab zindagi ka nisab
magar nisab se ghaddariyan nahin karte
jalae rakhte hain aankhon ki putliyon pe charagh
ye raushni pe azadariyan nahin karte
hamara masala ye hai ki hum mohabbat mein
fareb khate hain fan-kariyan nahin karte
'nadim' shahr ke diwar-o-dar ki sunte hain
magar kisi se rawa-dariyan nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.