sukhon ki aas hai kab se magar nahin aate
sukhoñ kī aas hai kab se magar nahīñ aate
maiñ vo daraḳht huuñ jis par samar nahīñ aate
na jaane kaun sī kashtī nigal gayā dariyā
ki us ke baa'd se is meñ bhañvar nahīñ aate
ye kaise barf ke hujre meñ bas gayā huuñ maiñ
kisī kī dhuup ke TukḌe idhar nahīñ aate
tire ḳhayāl kī kaisī hai rahguzar jis meñ
pahāḌ aate haiñ lekin shajar nahīñ aate
kahāñ haiñ kaun sī duniyā meñ gum haiñ vo bachche
ki jin ko yaad kabhī apne ghar nahīñ aate
ye kaise dair-o-haram haiñ ki jin kī chhat par ab
mohabbatoñ ke parinde nazar nahīñ aate
tujhī ko kaaT ke be-shakl kar ga.e 'sāhil'
vagarna dard ke dhāre kidhar nahīñ aate
sukhon ki aas hai kab se magar nahin aate
main wo daraKHt hun jis par samar nahin aate
na jaane kaun si kashti nigal gaya dariya
ki us ke ba'd se is mein bhanwar nahin aate
ye kaise barf ke hujre mein bas gaya hun main
kisi ki dhup ke TukDe idhar nahin aate
tere KHayal ki kaisi hai rahguzar jis mein
pahaD aate hain lekin shajar nahin aate
kahan hain kaun si duniya mein gum hain wo bachche
ki jin ko yaad kabhi apne ghar nahin aate
ye kaise dair-o-haram hain ki jin ki chhat par ab
mohabbaton ke parinde nazar nahin aate
tujhi ko kaT ke be-shakl kar gae 'sahil'
wagarna dard ke dhaare kidhar nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.