sukhon mein chahe dukhon mein meri hayat rahe
sukhoñ meñ chāhe dukhoñ meñ mirī hayāt rahe
hai aarzū mire hāthoñ meñ terā haath rahe
tumhārā pyaar jo merā charāġh-e-rāh bane
to koī fikr nahīñ din rahe ki raat rahe
anā kī baat agar hai to koī hal DhūñDo
tumhārī zid bhī ho puurī mirī bhī baat rahe
nadī ke jaise kināre kabhī nahīñ milte
yūñhī kuchh apne muqaddar ke kāġhzāt rahe
rah-e-hayāt meñ kyūñkar na pesh pesh mile
vo shaḳhs jis pe tirī chashm-e-iltifāt rahe
maiñ un se tark-e-ta'alluq bhalā karūñ kaise
jo log ranj-o-musībat meñ mere saath rahe
tirī talāsh meñ tujh ko to pā sake na magar
tamām 'umr asīr-e-tahayyurāt rahe
diyā ik aisā jalāo ujāle meñ jis ke
na qaid-e-maz.hab-o-millat na zāt-pāt rahe
ḳhushī na ġham se alag hai na ġham ḳhushī se alag
mirī hayāt ke 'gulshan' ye tajrabāt rahe
sukhon mein chahe dukhon mein meri hayat rahe
hai aarzu mere hathon mein tera hath rahe
tumhaara pyar jo mera charagh-e-rah bane
to koi fikr nahin din rahe ki raat rahe
ana ki baat agar hai to koi hal DhunDo
tumhaari zid bhi ho puri meri bhi baat rahe
nadi ke jaise kinare kabhi nahin milte
yunhi kuchh apne muqaddar ke kaghzat rahe
rah-e-hayat mein kyunkar na pesh pesh mile
wo shaKHs jis pe teri chashm-e-iltifat rahe
main un se tark-e-ta'alluq bhala karun kaise
jo log ranj-o-musibat mein mere sath rahe
teri talash mein tujh ko to pa sake na magar
tamam 'umr asir-e-tahayyuraat rahe
diya ek aisa jalao ujale mein jis ke
na qaid-e-mazhab-o-millat na zat-pat rahe
KHushi na gham se alag hai na gham KHushi se alag
meri hayat ke 'gulshan' ye tajrabaat rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.