sukun agar hai to bas lutf intizar mein hai
sukūñ agar hai to bas lutf intizār meñ hai
ki bebasī to ba-har-hāl iḳhtiyār meñ hai
ye ḳhauf bhī hai ki ashkoñ meñ Dhal na jaa.e kahīñ
vo ek aah jo naġhme kī intizār meñ hai
thakā diyā hai ḳhud apnī talāsh ne mujh ko
ki merā asl mire jhuuT ke hisār meñ hai
vo dushmanoñ kā ho lashkar ki dostoñ kā hujūm
ye raaz hai jo abhī parda-e-ġhubār meñ hai
sadā-e-rañg kī naġhmagarī se khul na sakā
vo ek qufl jo ab tak lab-e-bahār meñ hai
sukun agar hai to bas lutf intizar mein hai
ki bebasi to ba-har-haal iKHtiyar mein hai
ye KHauf bhi hai ki ashkon mein Dhal na jae kahin
wo ek aah jo naghme ki intizar mein hai
thaka diya hai KHud apni talash ne mujh ko
ki mera asl mere jhuT ke hisar mein hai
wo dushmanon ka ho lashkar ki doston ka hujum
ye raaz hai jo abhi parda-e-ghubar mein hai
sada-e-rang ki naghmagari se khul na saka
wo ek qufl jo ab tak lab-e-bahaar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.