sukun-e-dil fana hai aur main hun
sukūn-e-dil fanā hai aur maiñ huuñ
ġhamoñ kā qāfila hai aur maiñ huuñ
kahānī kah rahī hai raat apnī
muqābil aa.ina hai aur maiñ huuñ
nisāb-e-gardish-e-shām-o-sahar hai
sar-e-rah hādisa hai aur maiñ huuñ
kahūñ kyā hastī-e-nā-mo.atabar huuñ
tirā hī aasrā hai aur maiñ huuñ
vahī nairañgī-e-rañg-e-zamāna
vahī dil kī sadā hai aur maiñ huuñ
agarche jism rakhtā huuñ maiñ 'ādil'
badan sar se judā hai aur maiñ huuñ
sukun-e-dil fana hai aur main hun
ghamon ka qafila hai aur main hun
kahani kah rahi hai raat apni
muqabil aaina hai aur main hun
nisab-e-gardish-e-sham-o-sahar hai
sar-e-rah hadisa hai aur main hun
kahun kya hasti-e-na-moatabar hun
tera hi aasra hai aur main hun
wahi nairangi-e-rang-e-zamana
wahi dil ki sada hai aur main hun
agarche jism rakhta hun main 'adil'
badan sar se juda hai aur main hun
- Book : Sitara Sang (Gazals) (Pg. 60)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nirali Duniya Publications,Darya Ganj, Delhi (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.