sukun-e-dil ki talab mein jo be-qarar nahin
sukūn-e-dil kī talab meñ jo be-qarār nahīñ
vo apne dard-e-mohabbat se sharmsār nahīñ
ḳhushī se kaun uThātā hai ġham zamāne meñ
ye jabr vo hai ki jis par kuchh iḳhtiyār nahīñ
sab apnī zaat kī jānib haiñ aaj garm-e-safar
koī kisī ke liye mahv-e-intizār nahīñ
kuchh is tarah tirī chashm-e-karam ne luuTā hai
mujhe ḳhud apnī tabāhī kā e'tibār nahīñ
nazar-fareb bahāroñ se khelne vaale
tirī nazar meñ abhī hāsil-e-bahār nahīñ
har ek ġham kā mudāvā hai ḳhud-farāmoshī
vo hoshiyār bahut hai jo hoshiyār nahīñ
jalāo 'badr' shab-e-ġham charāġh ashkoñ ke
ki in chamakte sitāroñ kā e'tibār nahīñ
sukun-e-dil ki talab mein jo be-qarar nahin
wo apne dard-e-mohabbat se sharmsar nahin
KHushi se kaun uThata hai gham zamane mein
ye jabr wo hai ki jis par kuchh iKHtiyar nahin
sab apni zat ki jaanib hain aaj garm-e-safar
koi kisi ke liye mahw-e-intizar nahin
kuchh is tarah teri chashm-e-karam ne luTa hai
mujhe KHud apni tabahi ka e'tibar nahin
nazar-fareb bahaaron se khelne wale
teri nazar mein abhi hasil-e-bahaar nahin
har ek gham ka mudawa hai KHud-faramoshi
wo hoshiyar bahut hai jo hoshiyar nahin
jalao 'badr' shab-e-gham charagh ashkon ke
ki in chamakte sitaron ka e'tibar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.