sukun-e-dil mayassar ho maqam aisa kahan hoga
sukūn-e-dil mayassar ho maqām aisā kahāñ hogā
jahāñ Thahroge sar par hasratoñ kā sā.ebāñ hogā
liye phirte haiñ hāthoñ meñ yahāñ kuchh log kyoñ patthar
zarūr in bastiyoñ meñ koī shīshe kā makāñ hogā
na badlā ab bhī dastūr-e-ta'alluq vaqt ke hāthoñ
raqīboñ se tumheñ ab bhī rifāqat kā gumāñ hogā
tum apnī koshishoñ se kohkan ban jāoge lekin
zarūrī to nahīñ ki duudh kā dariyā ravāñ hogā
ye āñkheñ aa.ine haiñ dil ke in par tum yaqīñ rakhnā
zabāñ jo kah na pā.egī in āñkhoñ se bayāñ hogā
bano tum shā.eq-e-insāniyat 'gauhar' jahāñ tak ho
zamīñ hogī tumhārī aur tumhārā āsmāñ hogā
sukun-e-dil mayassar ho maqam aisa kahan hoga
jahan Thahroge sar par hasraton ka saeban hoga
liye phirte hain hathon mein yahan kuchh log kyon patthar
zarur in bastiyon mein koi shishe ka makan hoga
na badla ab bhi dastur-e-ta'alluq waqt ke hathon
raqibon se tumhein ab bhi rifaqat ka guman hoga
tum apni koshishon se kohkan ban jaoge lekin
zaruri to nahin ki dudh ka dariya rawan hoga
ye aankhen aaine hain dil ke in par tum yaqin rakhna
zaban jo kah na paegi in aankhon se bayan hoga
bano tum shaeq-e-insaniyat 'gauhar' jahan tak ho
zamin hogi tumhaari aur tumhaara aasman hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.