sukun-e-qalb hai mujh par haram wajd mein hun
sukūn-e-qalb hai mujh par harām vajd meñ huuñ
bhulā chukā huuñ ḳhud apnā bhī naam vajd meñ huuñ
maiñ ho chukā huuñ rumūz-e-hayāt se vāqif
ab apne kaam se rakhtā huuñ kaam vajd meñ huuñ
mohabbatoñ meñ bahut ḳharch kar chukā ḳhud ko
huuñ jis qadar bhī maiñ baaqī tamām vajd meñ huuñ
talāsh-e-zāt meñ gum ho ga.ī hai merī nazar
nahīñ kisī se duā-o-salām vajd meñ huuñ
nahīñ hai apnī ḳhabar kyā kisī kī fikr karūñ
safīr-e-ishq huuñ maiñ sub.h-o-shām vajd meñ huuñ
bahut tavīl hai merā safar magar phir bhī
thakā nahīñ huuñ maiñ har ek gaam vajd meñ huuñ
sukun-e-qalb hai mujh par haram wajd mein hun
bhula chuka hun KHud apna bhi nam wajd mein hun
main ho chuka hun rumuz-e-hayat se waqif
ab apne kaam se rakhta hun kaam wajd mein hun
mohabbaton mein bahut KHarch kar chuka KHud ko
hun jis qadar bhi main baqi tamam wajd mein hun
talash-e-zat mein gum ho gai hai meri nazar
nahin kisi se dua-o-salam wajd mein hun
nahin hai apni KHabar kya kisi ki fikr karun
safir-e-ishq hun main subh-o-sham wajd mein hun
bahut tawil hai mera safar magar phir bhi
thaka nahin hun main har ek gam wajd mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.